Lucky Ali Kabhi Aisa Lagta Hai

Kabhi aisa lagta hai , dil mein ik raaz
Jise kehna chahoon,par main keh paaoo na
Aankhon hi aankhon mein keh jaati hai jo ye
Khamoshiyon ki ye kaisi zuba

Maine suna jo na usne kaha ..
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa hi hota hai pyar….


Kabhi aisa lagta hai , anjaani pyaas hai
Par simti hoton mein vo reh paaye na
Kaisa ehsaas hai , koi to paas hai
Ye dooriyan hain phir kaisi yahan

Mehki lage ye saari fiza
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa hi hota hai pyar


Ye sach hai chahat pe kabhi kisi ka bhi zor nahin
Dilbar ki yaadon ko bandhe aisi koi dor nahin

Sab kuch vohi par lagta naya
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa bhi hota hai pyar


Kabhi aisa lagta hai ,
dil mein ik raaz hai
Jise kehna chahoon par main keh paaoo na
Aanhon hi aankhon mein keh jaati hai jo
ye Khamoshiyon ki ye kaisi zuba

Maine suna jo na usne kaha ..
Kya aisa hi hota hai pyar Mere khuda
mujhe itna bata
Kya aisa bhi hota hai pyar….


Ik pal jo mil jaaye phir vo chala jaaye door
kahin Duniya mein is dil ke jaisa koi majboor

nahinMaine suna pyar
karta jahan
Kya aisa hi hota hai pyar
Mere khuda mujhe itna bata
Kya aisa bhi hota hai pyar….